Zara Yaad Kar

Zara Yaad kar OST Lyrics:

Singr: Rahat Fateh Ali Khan
Darama: Zara Yaad Kar
Channel: HUM TV
Lyrics: Khalil ur Rehman Qamar





zara yaad kar
zara yaad kar
zara yaad kar
mere ham nafas
mera dil jo tum pe nisar tha
zara yaad kar
mere ham nafas
mera dil jo tum pe nisar tha

wo dara dara sa jo pyar tha
tere shokh qadmoon ki dhool thi
mera b dil beqarar tha
zara yaad kar
zara yaad kar
zara yaad kar
mere ham nafas
mera dil jo tum pe nisar tha


mera gham to hai gham e mubtila
main jiya magar main jiya nahi
tera gham hai teri nidaamaten
tera gham hai teri nidaamaten
tu jiya magar tu mara nahi
tujhe umar bhar ki saza mili
tera jurm jurm e farar tha
tera b dil beqara tha
zara yaad kar
zara yaad kar
zara yaad kar
mere ham nafas
mera dil jo tum pe nisar tha


wo ghuti ghuti c navaaye dil
meri aah e dard ka saaz thi
jo parhi thi ashkon ne toot k 
kisi be khuda ki namaz thi
jise ro diya hai zara zara
meri be basi ka fashar tha
tera b dil beqara tha
zara yaad kar
zara yaad kar
zara yaad kar
mere ham nafas
mera dil jo tum pe nisar tha


@onlineworldent.blogspot.com

10 comments: